Pjain - Asli Hun

Asli hun asli rahunga
Sach bakunga jhooth na khaunga
Rehta hun main galiyon main
Jaise hun wasia rahunga

Mani meri desi boli
Har ek main ye baat nhi
Asliyat hamesha bakta
Har ek ki aukat nhi
Aukat ki baat aa hi gyi toh
Aukat main batata hun
Main wo nhi jo peeth par kuch
Aur muh par kuch bakta jaa hun
Soch se pehle khokhla tha
Badai karke batata tha
Par jab samazh ayi toh
Achai se sachai dhohrata rha
Jo bure hain unhe choda
Acho ko apnata raha
Sachai lagti sabko buri
Seena choda karke batata
Main kabhi na tha acha
Jane kitno ko maine dhara
Baat lagti sachai ki
Ki rupya hi hai sabse bada
Par jab bada hua toh
Maine badli soch
Maine soch nayi banali
Apno ka sirf sath chaiye
Papa ki teen cheez apnali
Pehla ki rupya sabse bada nhi
Apne sath hone chaiye
Dusre ki ladkiyan ghar ki izzat
Saman hona chaiye
Teesra ki khain ruko nhi
Bas age bhadte rehna chaiye
Jo dar gaya wo mar gaya
Bas yehi samazhna chaiye

Asli hun asli rahunga
Sach bakunga jhooth na khaunga
Rehta hun main galiyon main
Jaise hun wasia rahunga

Apna li maine wo teen batein
Main mic lekar khada hogaya
Chadgaya stage pe main
Khokhle logo se bada hogaya
Lagta khud ko godzilla Main
Mere samay le shuru hogaya
Mic pr ugalta main shabd like
Marathon main khada hogaya
Bhagna ab chod diya main
Dheere dheere chal ra hun
9-5 main ghis ra apni
Fir bhi main chamak raha hun
Robot ki zindagi na chaiye
Har dam mehnat kar ra hun
Khush hun, santusth nhi
Khud ke dam par ban ra hun
Likha maine pehla, apna geet jab se
Har dam maine li seekh hai
Kamata hun khud ka , khata khud ka
Meri mehnat inhe lage azeeb hai
Main esa kaise hun bangaya
Past se maine li seekh hai
250 ke mic par bhi gaa gaa ke
Banye maine geet hain
Ek kaam karo muzhe dedo ek studio
Main ek beat banadunga
Beat par bakunga main ek lekh
Fir heat bhadadunga
Main banadunga ek pura gaana
Main sabko sunadunga
Main sirf audio nhi
video bhi banadunga

Written by:
Prateek Jain

Publisher:
Lyrics © O/B/O DistroKid

Lyrics powered by Lyric Find

Pjain

View Profile