Krazy - Kalam

Mai zindagi likhu kisi pe meri ye kalam nahi hai
Mai jo bhi likh deta mere liye bharam nhi hai
Lakerein khud hi likhta mere liye koi Rab nhi hai
Insaniyat se badhke koi bhi dharam nahi hai

Charo or Khai mere ab Kha chalu mai
Mai khud hu gayab ab khudhi ko hi Na dikhu mai
Mai khali haath rehlu inko ye manzoor na hai
Mai mar bhi jau Karam se fir bhi Na biku mai

Ye sochta tha pehle chod ke na jayegi
Izhar krlu pyar ka wo pass bhi na aayegi
Kaafi baar sochu itna bhi bura ky mai
Wo dur kabse usko yaad bhi na aayegi

Jo saath thi wo mere saath ab dikhe nahi
Wo paiso pe mari hum paiso pe mare nahi
Dil hai saaf mera fir bhi kehti chaalbaaz
Chale khud hi chlti bole Dhokhebaz hum nahi

Maa ghr pe teri mangti salamati
Wo dil se chahe tujko firbhi bhi uspe koi gawah nhi
Aakho se niklte har ek aasu uske,
Danth bhi lgaye tujhko dikhta uska Pyar nahi

Bharosa rakh tu khudpe tu kisi se kam nhi hai
Jo peeth peeche bole tere unmai dum nahi hai
Mai jhut bolta pr khai koi kasam nahi hai
Mai pyar krta jisse mera wo sanam nahi hai

Gulam sare hai, tu khud hi banja baadsah
Meri kahani aisi wo thi heer mai tha ranjha
Mai dur rehta inhe doori rakhta khudse hi
Ye haal bhi na puxe jaise mai hun koi Kaal sa

Baatein meri dil ki dikhti hai in Aasuon mai
jo bol na saku mai likh deta Kagazo mai
Jo baat dil ki hai wo dil mai hai dafan hai kabse
Jo baat thes de un lafzon ko Na likhu mai

Written by:
Govind Singh

Publisher:
Lyrics © O/B/O DistroKid

Lyrics powered by Lyric Find

Krazy

Krazy

View Profile