C Kaari - YAADEIN

Hum tujhme itna doob gaye ki bhool gaye khudko
Ab aalam ye hai aaj ki hum hi yaad nahi unko
Kuchh alm dikha kar usne zindagi khaak nana daali
Galti humne ki jo haath me jalte chiraag diye unko
Nazrein kar lu jo band unki tasveer aa jaati hai
Baithhe baithhe khamosh aksar palke beh jaati hai
Meri aankhein mujhse poonchhti hai itna kyu behke ho
Dil toota hai tera jaroor jo gumsum rehte ho
Jo gumsum rehte ho
Ab unki yaad me aansu bahaana chhod diya
Saari raat jaag kar unko hasaana chhod diya
Pehle mai bhi foolta tha aashiqui ke naam pe
Par itni baar toota hu ki dil lagaana chhod diya
Pehle unko raah chalte dekh leti thi ye aankhein
To bhi dil ko milti thi ajeeb si khushi
Vo mere dil se aaj is qadar utar gaye ki
Ab unke mazak pe bhi muskurana chhod diya
Aksar aankh meri khulti aadhi raat ko hi
Naa jaane kaise kaise khwaab aa rahe hai
Pyaar naam jaisi duniya me koi cheez hi nahi hai
Dil se mere aaj ye jawaab aa rahe hai
Man cheekhne ka kare mera andar se hu bhara hua
Lagta dar ki koi sun na le awaj
Maine yaar jo bhula diye the aashiqui me teri
Dil tootne pe aaj bahut yaad aa rahe hai
Koi doosra Pasand aaya to chhod diya
Jaise bachhe ko bazar me pasand aa jaati koi car nai
Tu kya jaane dil me hote kitne ghaav
Kitna laga aasan tujhe kehna ab tumse pyaar nahi
Zamaane bhar me faili baat dil ke qatl ki
To sabne poochha qatl karne vaala kaun hai
Maine likh likh ke bhar diya makaan
Jispe naam na ho tera aisi chhodi koi deewar nahi
Vaada tha ki poora dariya saath me karenge paar
Usne beech me pahuch ke ungli chhod di
Sehla ke rakha haath pehle mere jakhm pe
Fir ek din unhone seedha dil ki nabz tod di
Kuchh bhi ho par usme baat kuchh alag si thi
Hum uski is ada ke aaj bhi deewane hai
Hum wafa nibhake bhi hue zaleel itne
Usne bewafai karke izzatein bator li
Suna hai tere yaar kaafi jyada badh gaye hai
The mere jitne aaj vo bhi mujhse door hai
Humne itna doob ke kiya tha pyaar tujhse
Aaj doston me romiyo ke naam se mashoor hai
Kaanch ka tha dil mera o mere rehguzar
Maine bola tha ki rakhna tum sambhaal ke
Muddaton ke baad jab kiya mere hawaale
Dikh raha juda sa vo asal me chaknachoor hai
Bewafai mujhe soojhi nahi kabhi
Mere dil me tere siwa aai dooji nahi kabhi
Dil na bhara ho tera to rula le aur
Jaana aankhein meri poori tarah sooji nahi abhi
Dil ke jakhm ki dawa nahi mili jahaan me
To muh pe rakhke takiya marji bhar ke cheekh liya
Log punchhte ki kaise jee rahe mai bola
Maine zindagi ko zindagi ke bina jeena seekh liya
Hum tujhme itna doob gaye ki bhool gaye khudko
Ab aalam ye hai aaj ki hum hi yaad nahi unko
Kuchh alm dikha kar usne zindagi khaak nana daali
Galti humne ki jo haath me jalte chiraag diye unko
Nazrein kar lu jo band unki tasveer aa jaati hai
Baithhe baithhe khamosh aksar palke beh jaati hai
Meri aankhein mujhse poonchhti hai itna kyu behke ho
Dil toota hai tera jaroor jo gumsum rehte ho
Jo gumsum rehte ho

Written by:
Saransh Saxena

Publisher:
Lyrics © O/B/O DistroKid

Lyrics powered by Lyric Find

C Kaari

View Profile
Yaadein - Single Yaadein - Single