Dxvta, Skyra - Bin Raahi

Paanch panno par mein likhdu
Gaane chaar tujhpe
Teeno kitaabo mein jo
Dou gulaab saath chipte

Ek jo panna bachta
Thode wo bhi aansu ponche
Sawaar shunya pe mein
Bekaraar saans roke

Tujhko dekha jabse
Sapne mere sajjgaye hai
Palkon pe tu bethe
Subah chaar yahpe bajjgaye hai

Tujhse door jaana chahta nahi mein
Tu alag hai
Madhoshi mein na hai mazza
Meri ab tu talab hai

Mauka dede tu tou
Baal mein sawaar du
Bageeche ke tu beech mein
Main kaise yun gulab du

Mashhoor mein hu ladka
Mujhme heera tu tarashle
Ye ghumshuda gumaan mein
Mukaam tak tu saath de

Muskaan chehre pe jo tere
Isko jaane na du
Sitaaro ki tu karde maang
Tou mein chaand laadu

Sidhiyo par mein hu betha
Baaki souchuke hai
Dxvta kyu hai akela
Baaki sochte hai

Intezaar tera karrha hu
Jaane na wo
Dheet se ateet ko mein bhoola
Ab tum paani laado

Geeli aankhein karu
Geela karu halak mera
Shayar samjhe saare
Dard likhte, bolte na

Phone ke peeche chipke
Baatein kaafi karta hu mein
Khwaabon mein tu basti par
Ye bolne se darta hu jo

Jaam ke paigaam mein
Main dard ko salaam du
Kyu aathvi se aaj tak
Mein marz ko malaal du

Esa mehsoos na kiya hai
Maine saalo se
Tujhe dekh dill hai bhaari
Kya tum maanoge

Teen khwaahishein mein
Rakhdu tere saamne par
Teeno mein se ek mein bhi
Mujhko tum na maangoge

Sharaab tou

Sharaab tou meethi hai cheeni se bhi
Ye swaad tou dard ka hai jo dil ko bhaata nahi
Aur chot tou bohot khaayi hai bachpan se hi
Par umar kuch esi hai ki dard aur saha jaata nahi

Dard aur saha jaata nahi

Khuda se mein jo maangu wo
Mein paata nahi

Barsaade saare dard
Deta chaata nahi
Tou rishte saare mein bhi ya
Nibhaata nahi

Chillata ki

Dard aur saha jaata nahi

Khidki se kudu
Pankh mein failaadu kahi
Mudke na dekhu
Dhoondu bas kinaare sahi

Tum dou na saath
Dedo bas sahara koi

Bachalo tum

Dill ki baatein maine logo se haan kardi
Mujhse bola jaata na silwato pe likhta arzi
Ladaio ke beech thi tu sunti meri naa
Par khaane mein kya banne usme deti mujhko marzi

Farzi khwaab teen chaar dekhe
Saath the tere
Haan mein naam chahta aur
Tujhko baaju mere mere

Abb inko khwaabon ko odhkar
Mein sone chala hu
Haan naam tou bana par
Tujhko khone laga hu

Sun

Mujhko bhool ja tu ab

Chorh mujhko jaake dhoondle tu rab

Tujhko bolu kaise
Aankhein meri choor hai
Tu hi mera rab sach
Tera hi fitoor hai

Written by:
Dev Kumar

Publisher:
Lyrics © O/B/O DistroKid

Lyrics powered by Lyric Find

Dxvta, Skyra

View Profile