Himadra Pandey - A Lone

akelepan se khel mat akela pad jayega
mazak lag raha tha to mzak hi ban jayega
bta raha hu kyuki mai bhi isse guzra hu
saare mere dost hai sirf dushman hi mai khud ka hu
akele baith kar ye rona dhona chhod
kal kya tha kal kya hoga sochna chhod
phir zindagi mein bhi aayega ek mod aaisa
jaisa jisne jo kiya hai usko wapas kardu waisa
par yahi to zindagi ki pariksha hai
kya tu wahi hai jo dikhta hai
kya tu wahi hai jo likhta hai
agar tu sahi hai , phir kyu dukhta hai
kya tere andr bhi shaitaan ka ek dera hai
chamakte chehre ke peeche gehraiyo ka andhera hai
yahan jo bhi hai , sab kuch tera hi to hai
nafrat karne se pehle dil me dera bhi to hai
harqat karne se pehle dekha bhi to hai
barqat karne se phele dekha bhi to hai
andr hi andr lage toot rha hu
saare aage badhre hai mai chuut rha hu
udte jaa rhe saare mai bas kood rha hu
tair ke uss paar mai to dooba rha hu
kyu mai har baar vaar karke
khud ko taiyaar karke haar jata hu
mai haar jata hu ya har maan jata hu
basta mera bhari hai , rasta mera khali hai
saath nahi koi aage badhne ki taiyaari hai
akela padta hu mai jab
mai shaitan mai hu rab
shabd mai hu mai hi khat
mai savera mai hu waqt
mai andhera mai hu raqt
hun akela par hai sab

mai nahi maanta koi hai rab
agar hai bhi to dekhega kab
maine jeeya hai maine kiya hai
pyaase gale to tar kiya hai
chalne ko safar kiya hai
chalte huye suffer kiya hai
kuch manga phir pura kiya hai
paakr adhura kiya hai

mai khush hu
girta padta jo bhi karta khud hu
abhi dekhna itna saara kyu dukh kyu
tu baitha reh na chal na hi uth tu
dont point the mf finger in the sky
and say fuck you
its just you , f blame yourself

Written by:
Himadra Pandey

Publisher:
Lyrics © Kanjian Music

Lyrics powered by Lyric Find

Himadra Pandey

View Profile