Mad-N - Alone

Nikaal fenku dil se par nikal wo ni paati
Pyar agar ho Sacha mile izzat na zara bhi
Is pyar ko tu samjhi na hai tabhi itna door
Maine roka toka tujhko to wo lagi tujhe faansi
Dua nikle aaj bhi tu khush rahe jaan
Main maana tujhko ghar ki par tu maani mahman
Saath deti mera to main maanta ni haar
Teri fitrat agar pata hoti na karta itna pyar
Mar ni sakta chaha ke main bana zinda laash
Aaj jiske saath tu kya wo hai same caste
Pyar hota dil se tujhe aata na ye waqt
Aur na gairo ko sulati apni baahon me tu aaj
Sona chahta raaton me main aati ni hai neend par
Chain mera le gyi tu saath apni chen kar
Utna dukh ni hua mujhe badalna ka tere
Jitna sharminda hu aaj main ha khud ke yakeen par
Black, check sab pahna main khud me changes laaya tha
Jaisi teri choice thi waisa khud ko banaya tha
Kaash tu wo hoti jo tu banke dikhati thi
Par tu to nikli wo jo mujhe logo ne bataya tha

I am alone
Na chahiye ab kisi ka text
Na chahiye ab kisi ka call
But i am alone
Main mar chuka jaaneman kabka
Na jaanu ye andar hai kaun
Yes i am alone
I am alone

Main tha bugga tera aur tu mera chhota hathi
I miss you likha maine sunke aana tha aa jaati
Par ho chuka barbaad waapis hona ni aabad
Baby kaise main batau ke tu mere liye kya thi
Jo tune diya mujhe kaise bhulu main is vaar ko
Tu thi jaise shopkeeper main tha Tera barcode
I don't have capacity ke tere bina jee loon
Koi aao aake seene me ha khanjar me gaad do
Din to jaise taise nikal jaate khati raatein hai
Kisi ko rula k log kaise khush rah paate hai
Main us situation se nikal ke aaya mere dost
Jha pe jyadatar log latak pankhe par jaate hai
Saath hota tere toh main khana khata bhar pet
Pyar ke chakkar mein tere gaya hoon main ghar beth
Khud se jyada maine socha tere baare mein
Par uski hone se phle tu kia baal body perfect
Jo saath hua mere kisi ke saath ho god na
Seekhna padega zamane ke saath dodna
She knows ke main rah ni sakta uske bina ek din
Nahi aata mujhe logo ko ha aise chhodna

I am alone
Na chahiye ab kisi ka text
Na chahiye ab kisi ka call
But i am alone
Main mar chuka janeman kabka
Na jaanu ye andar hai kaun
Yes i am alone
I am alone

Written by:
Nitin Tyagi

Publisher:
Lyrics © O/B/O DistroKid

Lyrics powered by Lyric Find

Mad-N

View Profile