DeeSee - Mardaani

Haan mai bhi likhta hoon
Kalam se cheekhta hoon
Haan mere shabdon me sachai isliye tikta hoon
Haan mai bhi likhta hoon
Kalam se cheekhta hoon
Haan mere shabdon me sachai isliye tikta hoon
Par wo sab chhod aaj
Karenge aaj ye baat
Ke meri zindagi me kaisi maa
Tha kaisa baap
Baap mera rakhta haath me har raat daaru
Darwaza khole maa wo sochta ab isko maarun
Dekha hai maa ko Maine khaate hue maar
Par kya karta mai tha bachha yahi soch ke har roz haarun
Kabhi sehleti maa par kabhi zakhm gehre the
Khud ko sambhalta ya maa k ashq jo behrahe the
Sune hai taane maine aur maane sab jo keh re the
Sab dekhte sunte sab par saare andhe behre the
Tu hi meethi meethaai
Tu hi kadwi dawai
Kar lunga mai sehen har dard aur har duhai
Na seh sakunga tujhse faasla mai ya judaai
Naa seh sakunga tujhse faasla mai ya judai
Haan karta tha mai galti karta galti aaj bhi
Lekin maa tu na badli kal khafa aaj baat ki
Agar maa tu hai mere saath mera saaya banke
To sunlo mujhko bhi nahi zaroorat baap ki
Haan karta tha mai galti karta galti aaj bhi
Lekin maa tu na badli kal khafa aaj baat ki
Agar maa tu hai mere saath mera saaya banke
To sunlo mujhko bhi nahi zaroorat baap ki
Naa koi baap ki na iss ghatiya samaj ki
Khidki se jhaank kar dekh yesab hora hai aaj bhi
Yahi sachai hai jo tere aas paas bhi
Yahi sachai hai jo tere aas paas bhi
Ye thi dee-c ki kahani khud dee-c ki zabani
Sanskaari naari tujhe ye baat apne zehen me daalni
Na ab na sehna ab na sehna ban tu Mardaani
Na ab na sehna ab na sehna ban tu Mardaani
Khatam

Written by:
Diptanshu Chauhan

Publisher:
Lyrics © O/B/O DistroKid

Lyrics powered by Lyric Find

DeeSee

View Profile