Ekatra - Mera Aagaaz

Yo!
It's your boy
E K A T R A
Mai aawara aawaro se, lekin
Mai sunta na baate gawaro ki
Mai kavita ka saar hoon, jaise
Mai bolu jo baate hazaro ki
Mai dikhu bujhi raakh ke jaisa
Par jalti hui ek aag hoon
Aasani se jo na hota baya
Mai rootha hua wahi raag hoon
Aaftab hoon
Unn raato ko, aakho mein
Aata hua tera khaab hoon
Mai lafz hoon
Un dheemi hui saanso mein
Chalti hui teri nabz hoon
Mai raktt hoon
Insaan bhi
Karo shikayat mujhse hai laazme
Naadaan si
Fitrat thi meri
Ab ban baitha thoda aalsi
Kamaal thi
Wo yaade teri
Mai karne laga ab shayari
Itne waqt se maine dekha hai
Mujhse hoti na hai kisi ki bhi nokri
Ab do ghadi
Ko saans bhi loon to
Jalne laga hoon in raasto pe
Raaste kam wo Hadse hai
Jeena seekha in aadato se
In labo pe lahu hai thehra
Baate meri ek dum kaher hai
Mere safar se chalak ke aansu
Ban gaya ab to zaher hai
Dopehar se shaam talak
Beitha hoon ginta mai uski baate
Thi jo raate, mai kaat chuka
Ab gher leti hai uski yaade
Meri Aawaaz
Or mera Saaz
Aaj badla hua hai
Mijaaz
Hai kuch Raaz
Jo hai Khaas
Aaj hua hai mera
Aagaaz
Meri Aawaaz
Or mera Saaz
Aaj badla hua hai
Mijaaz
Hai kuch Raaz
Jo hai Khaas
Aaj hua hai mera
Aagaaz
Aadato se mai sarfira
Mai pagal hoon kuch ajeeb sa
Raasto mein mere mai gira
Fir chal diya mai, teer sa
Tujh mein laga
Tu hill gya
Tujhse baha
Kuch khoon sa
Teri veriyat
Ka ye sila
Mere sar chadha
Kuch junoon sa
Mai noor sa
Paak hoon
Bad-dimago ke liye mai
Shraap hoon
Mai dhoop hoon
Aflaak se chanti
Barisho ki mai
Boond hoon
Meri aakh mein palti aag hai
Uss aag se kardu khaakh mai
Jazbaato ki kuch
Jhalak hai alag
Mai bolu bhi to raag mai
Naraaz mai
Tumse nahi
Tum to khud he fasay ho sansaar mai
Meri haar mein mera haath tha
Khud ne khud he kara barbaad mai
Aawaz mai bezabano ki
Mere bol lage nadano se
Anjano se
Kuch log kare mera peecha
To hairaan hai
Wo dekhkar aawargi meri
Kahe ye to badnaam hai
Itminaan se us beech bazar mein
Maine un sabko peeta hai
Har lafz mera jeeta hai
Mera har gum khudse wo seeta hai
Maine jo kaha mujhpe wo beeta hai
Ye rap na hai kavita hai
Meri Aawaaz
Or mera Saaz
Aaj badla hua hai
Mijaaz
Hai kuch Raaz
Jo hai Khaas
Aaj hua hai mera
Aagaaz
Meri Aawaaz
Or mera Saaz
Aaj badla hua hai
Mijaaz
Hai kuch Raaz
Jo hai Khaas
Aaj hua hai mera
Aagaaz
Ek raat mein mai likh du
Har wo baat baya haalat ho
Meri zaat hai mosiqui
Mera bole har jazbaat wo
Sogaat ho mujhpe uski
Sar pe mera uska haath ho
Aashar wo chamke jaise
Aasma mein mehtaab wo
Nayab wo dard mera
Mai jeeta jiske saath hoon
Firta raha, bhatakta hua
Musafir is kaynaat mein
Kuch seekha he hai har baar maine
Shabdo se mulakaat mein
Din raat bus mai ye sochta
Wo kya hai jo mai bolta
Bankar firta kafir
Fir bhi us khuda ko poojta
Apne ehsaas se se mai khafa
Jaane kyu khudse hoon juda
Alag jhalakta sabse hoon
Khud he se bewafa sa hoon
Khud he mein mai basa sa hoon
Un raasto par bicha sa hoon
Koi pooche mera haal to bus
Kehdu mai naya sa hoon
Ajeeb hai ye ankahi si
Daasta kehta mai sawar gaya
Abhi to yahi tak tha
Palke jhapki
Kidhar gaya
Khabar hai kya?
Jo maine bola
Wo mai
Kar gaya
Jo darr gaya
Wo saamne aaya
Rota-Rota
Mar gaya
Meri Aawaaz
Or mera Saaz
Aaj badla hua hai
Mijaaz
Hai kuch Raaz
Jo hai Khaas
Aaj hua hai mera
Aagaaz
Meri Aawaaz
Or mera Saaz
Aaj badla hua hai
Mijaaz
Hai kuch Raaz
Jo hai Khaas
Aaj hua hai mera
Aagaaz

Written by:
Harry Verma

Publisher:
Lyrics © O/B/O DistroKid, Ekatra

Lyrics powered by Lyric Find

Ekatra

View Profile
Mera Aagaaz - Single Mera Aagaaz - Single