Sudeep Shrivastava - Chiriya ka Bachha

Chiriya ka bachha
Udne me kachha
Jhanke duniya ko
Taake asmaan ko

Udne ki koshish
Karta tha khud se
Bharke pankho me
Dil ke armaano ko

Chiriya ka bachha
Udne me kachha
Jhanke duniya ko
Taake asmaan ko

Udne ki koshish
Karta tha khud se
Bharke pankho me
Dil ke armaano ko

Thoda sa sahma
Thoda Ghabraya
Par pagal dil ko apne
Na rok paya

Chiriya se chip ke
Khud ki hi zidd se
Karna tha usko
Man me jo thana tha

'Aur bass.. Laga di chalang.
Par usse kya pata tha
Ki wo aur uske Sapne
Dono hi ajaenge zameen par..'

' Phir kya hua?'

Chiriya ne bola
Girna hai sabko
Uth Jaaye phir jo
Jeete toofano se

Rukna na phir tu
Thakna na phir tu
Udna hai tujhko
Saato asmaan me

Chiriya ka bachha

Chiriya ka bachha

Chiriya ka bachha

Written by:
Sudeep Shrivastava

Publisher:
Lyrics © O/B/O DistroKid

Lyrics powered by Lyric Find

Sudeep Shrivastava

View Profile