MaK MusicK - PARADOX

Raatein bitata ab bhi taakte Sitaare
Aate ni par mudke Lamhe guzaare
Paheli hai ek sulajhti nahi jo kabhi
Yaad aaye khud ki toh kisko pukaarein?
Nazar ka tu dhokha nahi hai
Tha darta du kho na kahi main
Btaade mujhe kahan khoju
Tu hoke bhi hota nahi hai
Nazar ka tu dhokha nahi hai
Tha darta du kho na kahi main
Btaade mujhe kahan khoju
Tu hoke bhi hota nahi hai
Mila pyaar parivaar se
Paryaapat ni shayad
Tabhi Aasan uthana
Tera faayda naajayz
Aaju baaju bacha unme se kon
jinke liye khudko badla
"badal gya " kehke gaayab ,bol
Btayi Gayi Kamiyo k roop mein
Jo Khoobiyan teri
Unhone bola tune maan li ?
Ho Sahi insaan ko moujoodgi kaafi
Baaki galat ko deke dekhle
Kam pdegi jaan bhi
Na tujhe pehchaan ni
Or Na hi Pyaar or
Pyaar ke dikhawe ka farak pta
Na Sabka imaan ni ,
Or tujhe sache ya jhoote
Aansuo ki na parakh pta ,
Na Saare teri tarah hote ,
Chahe anjaane mein pohchake chotein
Wo ni apne aap rote ,
Na Saare teri tarah hote
Kisi anjaan ki takleef mein
Jo jaage poori raat soche ?
Or Beshak ye galti unki ni
Achhai tel si
Jahan k paani mein jo ghulti ni
Haan beshak ye galti unki ni
Hona daale na fark
Toh hoke touheen khud ki hi
Baatein pate ki par
Kirdaar laapata sa tera
dariya mein neki par
Dil baitha ab bhi pyaasa tera
Bhook pyaar ki ho
Toh gale se utarta ni kuchh
Dil pe lagi baat Se
Badan pe na zakham koi gehra
Ilaaj kre wo
Beemar bhi padta hai , or
Sambhale jo sabhi ko
Wo sahara bhi talaashta hai
Pyaar se kitna hi bnale ret k mahal
Kinaare samandar ke
Toh vinaash ni talskta hai
toh haan
Tu bhola sa naadan hi sahi tha
Is duniya ke maaya jaal se
Anjaan hi sahi tha
Tune chhoda makaan tha
Mukaan koi paane ko
Mukaam pe tu jaane ki
Makaan hi sahi tha
Lekin, haar ni manaa main
Bas thakaan thodi jyada hai
Ab bhi wohi main jise
Haarna ni aata hai
hone ka tere ehsaas abhi bhi
Lekin tasveero mein jo tu
Wo aaina nahi dikhata hai , par
Nazar ka tu dhokha nahi hai
Tha darta du kho na kahi main
Btaade mujhe kahan khoju
Tu hoke bhi hota nahi hai
Nazar ka tu dhokha nahi hai
Tha darta du kho na kahi main
Btaade mujhe kahan khoju
Tu hoke bhi hota nahi hai

Written by:
MaK MusicK

Publisher:
Lyrics © O/B/O DistroKid

Lyrics powered by Lyric Find

MaK MusicK

View Profile